You might also like...

Showing posts with label Shayri. Show all posts
Showing posts with label Shayri. Show all posts

Tuesday, September 01, 2020

Amazing Ghazal from Nasir Kazmi



 Kya zamaana tha ki hum roz mila karte they

raat bhar chaand ke humrah phira karte they


Jahan tanhaaiyaan sar phod ke so jaati hain

In makaano mein ajab log raha karte they


Dekh kar jo hamein chup chaap guzar jaata hai

Kabhi us shakhs se hum pyaar kiye karte they


Kar diya aaj zamaane ne inhein bhi majboor

Kabhi ye log mere dukh ki dava karte they


Ittfaqat-e-zamaana bhi ajab hai Naasir

Aaj wo dekh rahe hain jo suna karte they


Nasir Kazmi

Tuesday, October 02, 2018

Dil mein ek lehar si..



With apologies to other languages I will have to say that when the heart is heavy, when the head is muddled up with a million conflicting thoughts or when you don't know what really ails you..there's nothing like Urdu poetry to comfort the heart and soothe the soul.

Here is a ghazal for that kind of mood.

दिल में एक लहर से उठी है अभी
कोई ताज़ा हवा चली है अभी

भरी दुनिया में जी नहीं लगता
जाने किस चीज़ की कमी है अभी (Favourite)

कुछ तो नाज़ुक मिजाज़ हैं हम भी
और ये चोट भी नयी है अभी

शोर बरपा है खाना-ए-दिल में
कोई दीवार सी गिरी है अभी

तू शरीके-सुखन नहीं है तो क्या
हम सुखं तेरी ख़ामोशी है अभी

याद के बेनिशाँ जज़ीरों से
तेरी आवाज़ आ रही है अभी

वक़्त अच्छा भी आएगा 'नासिर'
ग़म न कर ज़िन्दगी पड़ी है अभी


Here is a Youtube link for this ghazal in ustad Ghulam Ali's voice.
https://www.youtube.com/watch?v=VoAlBP16mG8

Friday, February 24, 2017

Random Ghazal - Hijr ki shab - Saqib Lakhnawi


hijrshabnāla-e-dilvosadādenelage
sunñevaaleraatkaTneduādenelage
aa.iyehāl-e-dil-e-majrūhsuniyedekhiye
kyākahāzaḳhmoñnekyuuñTāñkesadādenelage
kisnazarseaapnedekhādil-e-majrūhko
zaḳhmjokuchhbharchalethephirhavādenelage
sunñevaalerodiyesunkarmarīz-e-ġhamhaal
dekhnevaaletaraskhākarduādenelage
juzzamīn-e-kū-e-jānāñkuchhnahīñpesh-e-nigāh
jisdarvāzanazaraayāsadādenelage
bāġhbāñneaagjabāshiyānekomire
jinpetakiyathāvahīpattehavādenelage
muTThiyoñmeñḳhaaklekardostaa.evaqt-e-dafn
zindagībharmohabbatsilādenelage
aa.inahojaa.emerāishqunkehusn
kyāmazahodardagarḳhuddavādenelage
sīna-e-sozāñmeñ'sāqib'ghuTrahāhaivodhuāñ
ufkarūñtoaagduniyāhavādenelage

(saqib lakhnawi)

Sher 4 is very famous but my favourite is the 5th. And the makta is the reason I was searching for this ghazal this morning. 

The link has meanings on click -
https://rekhta.org/ghazals/hijr-kii-shab-naala-e-dil-vo-sadaa-dene-lage-saqib-lakhnavi-ghazals

Thursday, February 02, 2017

A Ghazal by Daag - Uzr aane mein bhi hai


uzr aane meñ bhī hai aur bulāte bhī nahīñ 

bā.is-e-tark-e-mulāqāt batāte bhī nahīñ 
muntazir haiñ dam-e-ruḳhsat ki ye mar jaa.e to jaa.eñ

phir ye ehsān ki ham chhoḌ ke jaate bhī nahīñ
sar uThāo to sahī aañkh milāo to sahī 

nashsha-e-mai bhī nahīñ niind ke maate bhī nahīñ 
kyā kahā phir to kaho ham nahīñ sunte terī 

nahīñ sunte to ham aisoñ ko sunāte bhī nahīñ 
ḳhuub parda hai ki chilman se lage baiThe haiñ

saaf chhupte bhī nahīñ sāmne aate bhī nahīñ
mujh se lāġhar tirī āñkhoñ meñ khaTakte to rahe

tujh se nāzuk mirī nazroñ meñ samāte bhī nahīñ
dekhte  mujhe mahfil meñ ye irshād huā

kaun baiThā hai use log uThāte bhī nahīñ 
ho chukā qat.a ta.alluq to jafā.eñ kyuuñ hoñ

jin ko matlab nahīñ rahtā vo satāte bhī nahīñ
ziist se tañg ho ai 'dāġh' to kyuuñ jiite ho

jaan pyārī bhī nahīñ jaan se jaate bhī nahīñ