Kya zamaana tha ki hum roz mila karte they
raat bhar chaand ke humrah phira karte they
Jahan tanhaaiyaan sar phod ke so jaati hain
In makaano mein ajab log raha karte they
Dekh kar jo hamein chup chaap guzar jaata hai
Kabhi us shakhs se hum pyaar kiye karte they
Kar diya aaj zamaane ne inhein bhi majboor
Kabhi ye log mere dukh ki dava karte they
Ittfaqat-e-zamaana bhi ajab hai Naasir
Aaj wo dekh rahe hain jo suna karte they
Nasir Kazmi
No comments:
Post a Comment