You might also like...

Thursday, September 18, 2008

Friendship - How close, how true....er...how long?

This is a well known ghazal by Ahmed Faraz, and it's always been on my list of favorites especially the last sher, the maq'ta, but just read it again and found a couple of sher's I hadn't heard before.

Dost ban kar bhii nahii.n saath nibhaanevaalaa

dost ban kar bhii nahii.n saath nibhaanevaalaa

vahii andaaz hai zaalim kaa zamaanevaalaa 

ab ise log samajhate hai.n giraftaar meraa 
saKht nadiim hai mujhe daam me.n laanevaalaa 

kyaa kahe.n kitane maraasim the hamaare is se 
vo jo ik shaKhs hai muu.Nh pher ke jaanevaalaa 

tere hote hue aa jaatii thii saarii duniyaa 
aaj tanhaa huu.N to ko_ii nahii.n aanevaalaa 

muntazir kis kaa huu.N TuuTii hu_ii dahaliiz pe mai.n 
kaun aayegaa yahaa.N kaun hai aanevaalaa 

mai.n ne dekhaa hai bahaaro.n me.n chaman ko jalate 
hai ko_ii Khvaab kii taabiir bataanevaalaa 

kyaa Khabar thii jo merii jaan me.n ghulaa hai itanaa 
hai vahii mujh ko sar-e-daar bhii laane vaalaa 

tum taqalluf ko bhii iKhalaas samajhate ho 'Faraz' 
dost hotaa nahii.n har haath milaanevaalaa 

I love this one - 
"mai.n ne dekhaa hai bahaaro.n me.n chaman ko jalate 
hai ko_ii Khvaab kii taabiir bataanevaalaa"

I'll translate just one, it's very melancholy/downright sad,

[I have seen the garden burning down in springtime,

now, who can interpret this dream for me? ]


Don't say it, I know it's much more beautiful in the original.

No comments: